Browse songs by

saat samundar paar ke gu.Diyo.n ke baazaar se

Back to: main index
View: Plain Text, हिंदी Unicode, image

saat samundar paar ke
gu.Diyo.n ke baazaar se
achchhii sii gu.Diyaa laanaa
gu.Diyaa chaahe naa laana
pappaa jaldii aa jaanaa

1. tum pardes gae jab se
bas ye haal huaa tab se
dil diivaanaa lagataa hai
ghar viiraanaa lagataa hai
jhilamil chaa.Nd sitaaro.n ne
daravaazo.n diivaaro.n ne
sabane puuchhaa hai ham se
kab jii chhuuTegaa Gam se
kab jii chhuuTegaa Gam se
kab hogaa unakaa aanaa, pappaa ...

2. maa.N bhii lorii nahii.n gaatii
ham ko nii.nd nahii.n aatii
khel khilaune TuuT gae
sa.ngii saathii chhuuT gae
jeb hamaarii khaalii hai
aur baasii diivaalii hai
ham sabako naa ta.Dapaao
apane ghar vaapas aao
apane ghar vaapas aao
aur kabhii phir naa jaanaa, pappaa ...

3. Kat naa samajho taar hai ye
kaagaz nahii.n hai pyaar hai ye
duurii aur itanii duurii
aisii bhii kyaa majabuurii
tum koii naadaan nahii.n
tum is_se anajaan nahii.n
is jiivan ke sapane ho
ek tumhii.n to apane ho
ek tumhii.n to apane ho
saaraa jag hai begaanaa, pappaa ...

Comments/Credits:

			 % Contributor: ek bharateeya
% Transliterator: ek bharateeya
% Date: 15 Aug 2004
% generated using giitaayan
% Kosh creadits Lata, Sulakshana Pandit, Usha Khanna & Other voice
		     
View: Plain Text, हिंदी Unicode, image