Browse songs by

raajaajii meraa naam

Back to: main index
View: Plain Text, हिंदी Unicode, image

raajaajii raajaajii raajaajii raajaajii
raajaajii raajaajii haay raajaajii meraa naam
aish karanaa aish karanaa aish karanaa meraa kaam
jahaa.n jidhar se jaataa huu.n mai.n sab karate hai.n salaam
raajaajii raajaajii ...

pa.Dh likh ke kyaa karanaa yaaro.n
mujhako tum samajhaa_o haa.n
are khaa_o piyo mauj manaa_o
baap kaa maal u.Daa_o re
abhii nahii.n jo loge mazaa phir kab karoge aaraam
raajaajii raajaajii ...

golii maaro is duniyaa ko
duniyaa se kyaa Daranaa haa haa
ko_ii kuchh bole to bole
dil jo chaahe karanaa
are fikr nahii.n hai mujhe kisii kii saare hai.n mere gulaam
raajaajii raajaajii ...

cha.nchal gorii chaa.Nd chakorii
kyuu.n mujhase sharamaa_e
ban jaa is raajaa kii raanii
kaahe ko ghabaraa_e haa.n
ho pyaar mujhe tuu karatii hai to aa merii baahe.n thaam
raajaajii raajaajii ...

View: Plain Text, हिंदी Unicode, image