Browse songs by

naino.n me.n mahabuub ke ... ka.nvaaraa nahii.n maranaa

Back to: main index
View: Plain Text, हिंदी Unicode, image

naino.n me.n mahabuub ke dekhuu.ngii mai.n Duub ke
shaadii ke baad mai.n mar jaa_uu.n to Gam nahii.n ka.nvaaraa nahii.n maranaa

saahil pe baiTh ke dariyaa ke tuufaan kaa nazaaraa nahii.n karanaa
ka.nvaaraa nahii.n maranaa ...

ye laaj kaa ghuu.nghaT kholuu.ngii ye baat mai.n sabase boluu.ngii
mere gharavaalo.n chup rahane kaa tum mujhe ishaaraa nahii.n karanaa
ka.nvaaraa nahii.n maranaa ...

jaa chuTakii bhar si.nduur ma.ngaa jaldii se merii maa.ng sajaa
mai.n mar ga_ii to leke meraa naam tuu pukaaraa nahii.n karanaa
ka.nvaaraa nahii.n maranaa ...

paanii me.n aag lagaanii hai is dil par choT bhii khaanii hai
ha.Nsanaa hai ronaa hai jiinaa hai dil thaam ke guzaaraa nahii.n karanaa
ka.nvaaraa nahii.n maranaa ...

o dil kaa aramaan nikal jaa_e phir chaahe.n jaan nikal jaa_e
o duniyaa vaalo.n tum do dilo.n ko judaa Kudaaraa nahii.n karanaa
ka.nvaaraa nahii.n maranaa ...

ye dil kaa phuul nahii.n khilataa to marake bhii chain nahii.n milataa
milane se pahale terii judaa_ii mujhe ga.nvaaraa nahii.n karanaa
ka.nvaaraa nahii.n maranaa ...

View: Plain Text, हिंदी Unicode, image