Browse songs by

meraa bholaa saa balamaa re

Back to: main index
View: Plain Text, हिंदी Unicode, image

meraa bholaa saa balamaa re
nahii samajhe hamaare isaare
o meraa bholaa saa balamaa re
nahii samajhe hamaare isaare
( sadaa bhiige rahe re rasiyaa
in naino.n ke dono.n kinaare ) -2

meraa bholaa saa balamaa re
nahii samajhe hamaare isaare

( saradii kii raat ba.Dii zulmii re baalamaa
hamase Guzaare naa guzare ) -2
( aaj do gha.Dii ke badal dai do more vaaste
jeTh kaa mahiinaa bhii aa guzare ) -2
tuu naa bedardii re Garazii haay ??
jab maa.Nge jawaanii sahaare

meraa bholaa saa balamaa re
nahii samajhe hamaare isaare

( bolo na bolo thaarii marazii re saajanaa
ham bhii na tose kabhii bole.n ) -2
( nanhaa saa jiyaa jo moraa bhar-bhar aaye kabhii
ba_iyaa.N kii oT le ke ro le.n ) -2
( mose naa pa_iyaa.N more sa_iyaa.N pa.Daa jaaye ho
jaa_o jii tum jiite ham haare ) -2

meraa bholaa saa balamaa re
nahii samajhe hamaare isaare
sadaa bhiige rahe re rasiyaa
in naino.n ke dono.n kinaare
meraa bholaa saa balamaa re
nahii samajhe hamaare isaare

Comments/Credits:

			 % Credits: Irfan
% Song Courtesy: http://hindi-movies-songs.com/

% Kosh mentions Hansraj Behl as the sole MD for the film.
% There are two songs in Khamosh Sipahi which were composed
% by Khurshid Anwar. This song and "kehdo kali kali badali
% daraaye na" (Geeta and Surinder Kaur).
% Both these songs were recorded by KA for film Mehfil, which
% never started. When Madhok produced and Directed Khamosh
% Sipahi he included these songs in this film.
% Khamosh Sipahi thus has 11 songs.
% KA used the tune of this song in Pakistani film Haveli (1964) .
% The records of these song bear the name of KA as Composer
		     
View: Plain Text, हिंदी Unicode, image