Browse songs by

man ma.ndir ke devataa raakho laaj hamaarii

Back to: main index
View: Plain Text, हिंदी Unicode, image

{aalaap}
man ma.ndir ke devataa-2
raakho laaj hamaarii
man ma.ndir ke devataa
asuan maalaa leke pujaaran-2
aa_ii sharan tihaarii
man ma.ndir ke devataa
raakho laaj hamaarii
man ma.ndir ke devataa

{jag kaa rishtaa jhuuThaa rishtaa
saa.Ns ke sa.ng hii ChuuTe}-2
priit kaa ba.ndhan aisaa ba.ndhan
mar ke bhii nahii.n TuuTe
dono.n rishte kaise nibhaa_uu.N-2
laakh jatan kar haarii
man ma.ndir ke devataa
raakho laaj hamaarii
man ma.ndir ke devataa

{tan kaa maalik bas ye chaahe
man me.n aag lagaa duu.N}-2
ek ma.ndir me.n karuu.N mai.n puujaa
ek ma.ndir ko Dhaa duu.N
apane man se kaise miTaa duu.N
bolo yaad tumhaarii
man ma.ndir ke devataa
raakho laaj hamaarii
man ma.ndir ke devataa
o devataa -4

Comments/Credits:

			 % Transliterator: Pulkit Sharma(pulkit_sadabahar@yahoo.com)
% Date: 28 may 2004
% Series: NOOR-E-TARANNUM
		     
View: Plain Text, हिंदी Unicode, image