Browse songs by

mai.n pyaar tumase hii karataa huu.N tum gavaahii do

Back to: main index
View: Plain Text, हिंदी Unicode, image

%Part 1:

mai.n pyaar tumase hii karataa huu.N tum gavaahii do
mai.n apane khuun se likhataa huu.N tum gavaahii do
mai.n pyaar tumase hii ...

ab dobaaraa na kabhii dil ye diivaanaa hogaa
aakharii apanii muhabbat kaa fasaanaa hogaa
jo kahaa maine muskuraa ke ek baar kaho
merii dha.Dakan mere is dil ke aasapaas raho
diyaa hai dard sanam mujhako tum davaa bhii do
mai.n apane khuun se ...

mai.n naa bhuuluu.ngaa zi.ndagii bhar ye vaade kasame.n
jaan deke mai.n nibhaa_uu.ngaa pyaar kii rasme.n
terii chaahat me.n zamaane ko bhulaane aayaa
raah-e-ulfat me.n har ik shai ko luTaane aayaa
rakhuu.ngaa yaad tumhe.n chaahe.n tum bhulaa bhii do
mai.n apane khuun se ...

%Part 2:

mai.n pyaar tumase hii karataa huu.N tum gavaahii do
mai.n apane khuun se likhataa huu.N tum gavaahii do

mai.n pyaar tumase hii karatii huu.N tum gavaahii do
mai.n apane khuun se likhatii huu.N tum gavaahii do

ab dobaaraa na kabhii dil ye diivaanaa hogaa
aakharii apanii muhabbat kaa fasaanaa hogaa
jo kahaa maine muskuraa ke ek baar kaho
merii dha.Dakan mere is dil ke aasapaas raho
diyaa hai dard sanam mujhako tum davaa bhii do
mai.n apane khuun se ...

mai.n naa bhuuluu.ngii zi.ndagii bhar ye vaade kasame.n
jaan deke mai.n nibhaa_uu.ngii vafaa kii rasme.n
terii chaahat me.n zamaane ko bhulaane aayaa
raah-e-ulfat me.n har ik shai ko luTaane aayaa
rakhuu.ngii yaad tumhe.n chaahe.n tum bhulaa bhii do
mai.n apane khuun se ...

View: Plain Text, हिंदी Unicode, image