Browse songs by

lab\-e\-Kaamosh se afshaa hogaa - - Feroz Akhtar

Back to: main index
View: Plain Text, हिंदी Unicode, image

ye maukaa hai apane khaas-e-yaar ko khush karane kaa ...

ise suniye to aashik gaa rahe hai.n lekin mahabuubaa bhI gaa sakatii hai
(kuchh ##editing##ke baad:) kyU.Nke agar la.Dakiyaa.n khaas-o-khaas ho sakatii hai.n
to la.Dake bhI koi khaas-e-aam nahii.n. Thiik kah rahI huu.N na?
ham aapake liye khaas, aap hamaare liye khaas
ye baat aur hai ke aap bayaan kar dete hai.n aur ham nahii

(lab-e-khaamosh se afshaa hogaa
raaz har ra.ng me.n rusavaa hogaa ) - 2
kis tavvaako pe kisii ko dekhe.n - 2
koI tumasA bhI hasiin kyA hogaa - 3

jis bhI fanakaar kA shahakaar ho tum - 2
usane sadiyo.n tumhe.n sochaa hogaa - 2
raaz har ra.ng me.n rusavaa hogaa
lab-e-khamosh se afshaa hogaa

ziinat-e-ghalakaaye aagosh bano - 2
dUr baiThoge to charchaa hogaa
lab-e-khamosh se afshaa hogaa
raaz har ra.ng me.n rusavaa hogaa

sArI duniyA hame.n pahachaanatii hai - 2
koI hamasaa bhI nA tanhaa hogaa - 2

(lab-e-khamosh se afshaa hogaa
raaz har ra.ng me.n rusavaa hogaa ) - 2

Comments/Credits:

			 % Transliterator: Ravi Kant Rai (rrai@plains.nodak.edu)
% Editor: Anurag Shankar (anurag@astro.indiana.edu)
		     
View: Plain Text, हिंदी Unicode, image