kaun jiiwan me.n mere samaaye jaa rahaa hai
- Movie: Hamara Sansar
- Singer(s): Zohrabai Ambalewali
- Music Director: Govind Ram
- Lyricist: Ramesh Gupta?
- Actors/Actresses: Rajkumari, Ranjana, Sushil Kumar, Jivan, Umakant, Shukla
- Year/Decade: 1945, 1940s
View: Plain Text, हिंदी Unicode,
kaun jiiwan me.n mere samaaye jaa rahaa hai -2
kaun man pe mere chhaaye jaa rahaa hai
kaun jiiwan me.n mere samaaye jaa rahaa hai
kaun barakhaa kii kaalii-kaalii raat me.n -2
ban ke saayaa chal rahaa hai saath me.n -2
kaun diipak ban ke raah dikhalaa rahaa hai
kaun jiiwan me.n mere samaaye jaa rahaa hai -2
ko_ii saathii na thaa ko_ii miit naa thaa -2
mere suunii viinaa me.n ko_ii giit naa thaa -2
kaun miiThe suro.n se ye gaaye jaa rahaa hai -2
kaun man ko mere lubhaaye jaa rahaa hai -2
kaun jiiwan me.n mere samaaye jaa rahaa hai -2