Browse songs by

jyot se jyot jagaate chalo, prem kii ga.ngaa bahaate chalo

Back to: main index
View: Plain Text, हिंदी Unicode, image

jyot se jyot jagaate chalo, prem kii ga.ngaa bahaate chalo
raah me.n aae jo diin dukhii, sabako gale se lagaate chalo

jisakaa na koii sa.ngii saathii iish{}var hai rakhavaalaa
jo nirdhan hai jo nirbal hai vah hai prabhuu kaa pyaaraa
pyaar ke motii luTaate chalo, prem kii ga.ngaa...

aashaa TuuTii mamataa ruuThii chhuuT gayaa hai kinaaraa
ba.nd karo mat dvaar dayaa kaa de do kuchh to sahaaraa
diip dayaa kaa jalaate chalo, prem kii ga.ngaa...

chhaaI hai chhaao.n aur a.ndheraa bhaTak ga_ii hai.n dishaae.n
maanav ban baiThaa hai daanav kisako vyathaa sunaae.n
dharatii ko svarg banaate chalo, prem kii ga.ngaa...

% Mukesh version

jyot se jyot jagaate chalo prem kii ga.ngaa bahaate chalo
raah me.n aa_e jo diin dukhii sab ko gale se lagaate chalo
prema kii ga.ngaa bahaate chalo ...

kaun hai uu.Nchaa kaun hai niichaa sab me.n vo hii samaayaa
bhed bhaav ke jhuuThe bharam me.n ye maanav bharamaayaa
dharm dhvajaa phaharaate chalo, prem kii ga.ngaa ...

saare jag ke kaN kaN me.n hai divya amar ik aatmaa
ek brahm hai ek satya hai ek hii hai paramaatmaa
praaNo.n se praaN milaate chalo, prem kii ga.ngaa ...

Comments/Credits:

			 % Credits: C. S. Sudarshana Bhat (cesaa129@utacnvx.uta.edu)
%          Preetham Gopalaswamy (preetham@src.umd.edu)
%          Uday Patel
% Editor: Anurag Shankar (anurag@astro.indiana.edu)
		     
View: Plain Text, हिंदी Unicode, image