Browse songs by

jo bhii buraa bhalaa hai, allaah jaanataa hai

Back to: main index
View: Plain Text, हिंदी Unicode, image

l: jo bhI buraa bhalaa hai, allaah jaanataa hai
bande ke dil me.n kyA hai, allaah jaanataa hai

j: ye farsh-o-arsh kyA hai, allaah jaanataa hai
parado.n me.n kyA chhipaa hai, allaah jaanataa hai

l: jaa kar jahaa.N se ko_ii, vaapas nahii.n hai AtA
vo kaun sI jagah hai, allaah jaanataa hai

j: nekii badI ko apanii, kitanaa hii tU chhipaaye
allaah ko pataa hai, allaah jaanataa hai

l: ye dhuup chhAo.n dekho, ye subah shaam dekho
sab kyU.n ye ho rahaa hai, allaah jaanataa hai

j: qismat ke naam ko to, sab jaanate hai.n lekin
kismat me.n kyA likhA hai, allaah jaanataa hai

##
Dictionary :
1. ## bande ## - person
2. ## farsh-o-arsh ## - earth & sky
3. ## nekii-badii ## - virtue & vice
##

Comments/Credits:

			 % Transliterator: Ravi Kant Rai (rrai@plains.nodak.edu)
% Credits: Ramesh Hariharan (rameshh@acad1.tp.ac.sg)
% Editor: Anurag Shankar (anurag@chandra.astro.indiana.edu)
		     
View: Plain Text, हिंदी Unicode, image