Browse songs by

jinake sar ho ishq kii chhaa.Nv ... chal chai.nyyaa chai.nyyaa

Back to: main index
View: Plain Text, हिंदी Unicode, image

jinake sar ho ishq kii chhaa.Nv
paa.Nv ke niiche jannat hogii
jinake sar ho ishq kii chhaa.Nv

chal chai.nyyaa chai.nyyaa chai.nyyaa chai.nyyaa

sare ishq kii chhaa.Nv, chal chai.nyyaa chai.nyyaa
paa.Nv chalat chale, chal chai.nyyaa chai.nyyaa
paa.Nv chalat chale, chal chai.nyyaa chai.nyyaa

chal chai.nyyaa chai.nyyaa chai.nyyaa chai.nyyaa

vo yaar hai jo khushabuu kii tarah
hai jisakii zubaa.N ud.ruu kii tarah
merii shaam raat, merii qaayanaat
vo yaar meraa sai.nyyaa sai.nyyaa

chal chai.nyyaa chai.nyyaa chai.nyyaa chai.nyyaa

gul posh kabhii itaraaye kahii.n
mahake to nazar aa jaaye kahii.n
taviiz banaake pahanuu.N use
aayat kii tarah mil jaaye kahii.N
vo yaar hai jo iimaa.N kii tarah
meraa naGamaa vahii, meraa kalamaa vahii
meraa naGamaa naGamaa, meraa kalamaa kalamaa

yaar misaal-e-os chale
paa.Nv kii tale, firadaus chale
kabhii Daal Daal, kabhii paat paat
mai.n havaa pe Dhuu.NDhuu.N usake nishaa.N

sare ishq kii chhaa.Nv, chal chai.nyyaa chai.nyyaa
paa.Nv chalat chale, chal chai.nyyaa chai.nyyaa
paa.Nv chalat chale, chal chai.nyyaa

chal chai.nyyaa chai.nyyaa chai.nyyaa chai.nyyaa ...

mai.n usake ruup kaa saudaa_ii
vo dhuup chhaa.Nv saa har_jaai
vo shokh nazar badalataa hai
mai.n ra.ng ruup kaa saudaa_ii

jinake sar ho ishq kii chhaa.Nv
paa.Nv ke niiche jannat hogii
jinake sar ho ishq kii chhaa.Nv

chal chai.nyyaa chai.nyyaa chai.nyyaa chai.nyyaa

sare ishq kii chhaa.Nv, chal chai.nyyaa chai.nyyaa
paa.Nv chalat chale, chal chai.nyyaa chai.nyyaa
paa.Nv chalat chale, chal chai.nyyaa

chal chai.nyyaa chai.nyyaa chai.nyyaa chai.nyyaa

Comments/Credits:

			 % Transliterator: K Vijay Kumar
		     
View: Plain Text, हिंदी Unicode, image