jab tum hii chale parades lagaa kar Thes
- Movie: Rattan
- Singer(s): Karan Deewan
- Music Director: Naushad
- Lyricist: D N Madhok
- Actors/Actresses: Karan Deewan, Manju, Vaasti, Swarnlata
- Year/Decade: 1944, 1940s
View: Plain Text, हिंदी Unicode,
( jab tum hii chale parades lagaa kar Thes
o priitam pyaaraa
duniyaa me.n kaun hamaaraa ) -2
( jab baadal ghir ghir aaye.nge
biite din yaad dilaaye.nge ) -2
( phir tum hii kaho kit jaaye nasiib hamaaraa
duniyaa me.n kaun hamaaraa ) -2
jab tum hii chale parades lagaa kar Thes
o priitam pyaaraa
duniyaa me.n kaun hamaaraa
( aa.Nkho.n se paanii bahataa hai
dil ro ro kar ye kahataa hai ) -2
( jab tum hii ne saajan hamase kiyaa kinaaraa
duniyaa me.n kaun hamaaraa ) -2
( jab tum hii chale parades lagaa kar Thes
o priitam pyaaraa
duniyaa me.n kaun hamaaraa ) -2