jaane merii akhiyo.n ne dekhaa hai kyaa
- Movie: Pyar Ki Jeet
- Singer(s): Mohammad Rafi, Asha Bhonsle
- Music Director: Sudhir Phadke
- Lyricist: Qamar Jalalabadi
- Actors/Actresses: Mahipal, Indira, Mohan Choti, Kalpana
- Year/Decade: 1962, 1960s
View: Plain Text, हिंदी Unicode,
ra : jaane merii a.nkhiyo.n ne dekhaa hai kyaa
dekhaa hai kyaa
paanii se nikalaa hai chaa.Nd nayaa -2
mukha.De pe nanhii-nanhii buu.Ndo.n ke dhaare
chandaa ke saath jaise chhoTe-chhoTe taare
din me.n hai.n taare ye jaaduu hai kyaa
paanii se nikalaa hai chaa.Nd nayaa -2
aa : jaane terii a.nkhiyo.n ne dekhaa hai kyaa
dekhaa hai kyaa
ra : paanii se nikalaa hai chaa.Nd nayaa -2
aa : nain kisii ke rote hai.n apanaa ??
din kii laalii me.n dekh aa_ii sapanaa
a.ng-a.ng kisane ra.ng bharaa
paanii se nikalaa hai chaa.Nd nayaa -2
ra : mai.n huu.N pujaarii tuu merii kalaa hai
jahaa.N tere pag wahaa.N man bhii chalaa hai
kyaa hai ye naataa zaraa tuu hii bataa
paanii se nikalaa hai chaa.Nd nayaa -2
aa : jaane terii a.nkhiyo.n ne dekhaa hai kyaa
dekhaa hai kyaa
ra : paanii se nikalaa hai chaa.Nd nayaa -2