Browse songs by

ik baar zaraa phir kah do, mujhe sharmaa ke tum diivaanaa

Back to: main index
View: Plain Text, हिंदी Unicode, image

he: ik baar zaraa phir kah do
mujhe sharmaake tum diivaanaa
la: aisii miiThii-miiThii baate.n karake
kahaa.N siikhaa hai dil kaa lubhaanaa
he: o jaan-e-jaa.n
ik baar zaraa phir kah do
mujhe sharmaake tum diivaanaa
la: uu.N-huu.N % (OYE HOY, mar jaawaaN)


he: dil lekar raho duur huzuur na hamase
karo itanaa Guruur na hamase
la: o sajanaa, meraa haar si.ngaar tumhii.n ho
meraa dam hai tumhaare hii dam se
he: tum shamaa ho to mai.n huu.N parvaanaa
la: aisii miiThii-miiThii baate.n karake
kahaa.N siikhaa hai dil kaa lubhaanaa
he: o jaan-e-jaa.n
ik baar zaraa phir kah do
mujhe sharmaake tum diivaanaa
la: uu.N-huu.N % (OYE HOY, mar jaawaaN)

he: suno dilbar ye jo diip khushii kaa jalaa hai
meraa pyaar isii me.n Dhalaa hai
la: meraa dil bhii piyaa leke tumhaaraa sahaaraa
na_ii raah pe aaj chalaa hai
he: di_aa tumhii.n ne ummiido.n ko Thikaanaa
la: aisii miiThii-miiThii baate.n karake
kahaa.N siikhaa hai dil kaa lubhaanaa
he: o jaan-e-jaa.n
ik baar zaraa phir kah do
mujhe sharmaake tum diivaanaa
la: uu.N-huu.N % (OYE HOY, mar jaawaaN)

he: tum chaaho to mai.n to.Dake laa duu.N sitaare
ki ho tum mujhe jaan se pyaare
la: kyaa maa.Nguu.N jab mil ga_e tum mujhe sajanaa
mai.n to aa ga_ii bas me.n tumhaare
he: meraa dil hai tumhaaraa nazaraanaa
la: aisii miiThii-miiThii baate.n karake
kahaa.N siikhaa hai dil kaa lubhaanaa
he: o jaan-e-jaa.n
ik baar zaraa phir kah do
mujhe sharmaake tum diivaanaa

% (slow, conversational tempo)

he: kaho na
la: diivaanaa
he: phir kaho
la: diivaanaa
he: phir kaho
la: dii-vaa-na

% This is last 15 seconds that his worth ALL movies of Biswajit
% (and do you want to add on Pradeep Kumar etc! Oh! Oh! hang on,
% I forgot, Bees Saal Baad is also Biswajit movie. I will have to
% get down to its songs one day, but I guess, they are all
% ITRANSed already! )

% -- Pintu Diwana (some call him ShashiKant Joshi)

Comments/Credits:

			 %              Andy J. Lucyshyn (ajl@engr.ucf.edu)
% Transliterator: Rajiv Shridhar (rajiv@hendrix.coe.neu.edu) 
% Date: Thu Aug  3 1995
% Comments: Pankha Road se Pintu Diwana [49] 

%    This Biswajit guy, is really lucky. He has got some of the best
%    songs ever!! I guess I mentioned this recently too, Biswajit, Pradeep
%    Kumar, Joy Mukherjee and Bharat Bhushan -- I guess, they will beat Dev
%    and Shammi dead cold for great songs!

%    This song, I had been planning to post for quite some time. I had
%    this with me for a LONG time. Why? for the ending part of this
%    song. The last 15 seconds of this song are worth the whole movie,
%    worth ALL movies of Biswajit :-)))
%    This song happens to be my first song in the "Happy Duets"
%    cassette of *my* wedding present to my wife:-))

%    Truly, the best happy duet. It is better than the tumne pukara
%    etc. too!! Why? For its subtlity! The subtle, nazuk thots of the
%    pair! Here it goes...
		     
View: Plain Text, हिंदी Unicode, image