Browse songs by

ho.nTho.n pe sachchaaii rahatii hai

Back to: main index
View: Plain Text, हिंदी Unicode, image

(hoTho.n pe sachchaaii rahatii hai
jahaa.N dil me.n safaaii rahatii hai
ham us desh ke vaasii hai.n, ham us desh ke vaasii hai.n
jis desh me.n ga.ngaa bahatii hai ) - 2

(mehamaa.n jo hamaaraa hotaa hai
vo jaan se pyaaraa hotaa hai ) - 2
zyaadaa kii nahii.n laalach hamako
tho.De me guzaaraa hotaa hai - 2
bachcho.n ke liye jo dharatii maa.N
sadiyo.n se sabhii kuchha sahatii hai
ham us desh ke vaasii hai.n, ham us desh ke vaasii hai.n
jis desh me.n ga.ngaa bahatii hai

(kuchh log jo zyaadaa jaanate hai.n
insaan ko kam pahachaanate hai.n ) - 2
ye puurab hai puurabavaale
har jaan kii kiimat jaanate hai.n - 2
mil jul ke raho aur pyaar karo
ek chiiza yahii jo rahatii hai
ham us desh ke vaasii hai.n, ham us desh ke vaasii hai.n
jis desh me.n ga.ngaa bahatii hai

(jo jisase milaa sikhaa hamane
gairo.n ko bhii apanaayaa hamane ) - 2
matalab ke liye andhe hokar
roTii ko nahii puujaa hamane - 2
ab ham to kyA saarii duniyaa
saarii duniyaa se kahatii hai
ham us desh ke vaasii hai.n, ham us desh ke vaasii hai.n
jis desh me.n ga.ngaa bahatii hai

hoTho.n pe sachchaaii rahatii hai
jahA.n dil me.n safaaii rahatii hai
ham us desh ke vaasii hai.n, ham us desh ke vaasii hai.n
jis desh me.n ga.ngaa bahatii hai

Comments/Credits:

			 % Credits: Rajan Parrikar 
%          Satish Subramanian (subraman@cs.umn.edu)
%          Himanshu Bhatt (bhatt@ticipa.pac.sc.ti.com)
% Editor: Anurag Shankar (anurag@astro.indiana.edu)
		     
View: Plain Text, हिंदी Unicode, image