Browse songs by

ha.Ns le gaa le ... kaisii ye jaagii agan

Back to: main index
View: Plain Text, हिंदी Unicode, image

%chorus
ha.Ns le, gaa le, dhuum machaa le, duniyaa faanii hai
kah le dil kii baat sajan se, raat suhaanii hai
%Lata
kaisii ye jaagii agan

%Lata
(duur kahii.n ek taaraa karataa hai ye ishaaraa)2
jiit hai aaj usii kii jis ne sab kuchh haaraa
siine me.n tuufaa.n hai jalane kaa aramaa.N hai
kaisii ye jaagii agan

%chorus
ha.Ns le, gaa le, dhuum machaa le, duniyaa faanii hai
kah le dil kii baat sajan se, raat suhaanii hai
%Lata
kaisii ye jaagii agan
%chorus
maariiyaa ...

%Lata
(duur nagariiyaa terii, rastaa hai anajaanaa )2
raah me.n milane waale, raah me.n chhoD na jaanaa
siine me.n tuufaa.n hai, jalane kaa aramaa.N hai
kaisii ye jaagii agan

%chorus
ha.Ns le, gaa le, dhuum machaa le, duniyaa faanii hai
kah le dil kii baat sajan se, raat suhaanii hai
%Lata
kaisii ye jaagii agan
%chorus
maariiyaa ...

%Lata
to.D ke naate saare chalii huu.N un ke dvaare
ghar aa.Ngan se kahiyo ab naa mujhe pukaare
siine me.n tuufaa.n hai, jalane kaa aramaa.N hai
kaisii ye jaagii agan, lagii hai dil me.n lagan

%chorus
siine me.n tuufaa.n hai, jalane kaa aramaa.N hai
kaisii ye jaagii agan
ha.Ns le, gaa le, dhuum machaa le, duniyaa faanii hai
kah le dil kii baat sajan se, raat suhaanii hai
maariiyaa ...

Comments/Credits:

			 % Transliterator: Nimish Pachapurkar
% Credits:Satish Kalra
% Comments:SDB Series # 67
%                   aka Sun Mere Bandhu Re
		     
View: Plain Text, हिंदी Unicode, image