Browse songs by

hai kahii.n par shaadamaanii aur kahii.n naashaadiyaa.N

Back to: main index
View: Plain Text, हिंदी Unicode, image

hai kahii.n par shaadamaanii aur kahii.n naashaadiyaa.N
aatii hai.n duniyaa me.n sukh-dukh kii sadaa yuu.N aa.Ndhiyaa.N, aa.Ndhiyaa.N -2
hai kahii.n par shaadamaanii aur kahii.n naashaadiyaa.N

kyaa raaz hai, kyaa raaz hai
kyaa raaz hai, kyaa raaz hai
aaj parawaane ko bhii apanii lagan par naaz hai, naaz hai
kyo.n shamaa bechain hai, Kaamosh hone ke liye -2
aa.Nsu_o.n kii kyaa zaruurat -2
dil ko rone ke liye -2
tere dil kaa saaz pagalii -2
aaj beaawaaz hai -2
hai kahii.n par shaadamaanii aur kahii.n naashaadiyaa.N

% Part II

aa
hai kahii.n par shaadamaanii aur kahii.n naashaadiyaa.N -2
aatii hai.n duniyaa me.n sukh-dukh kii sadaa yuu.N aa.Ndhiyaa.N, aa.Ndhiyaa.N

aa_ii.n aisii aa.Ndhiyaa.N
aa_ii.n aisii aa.Ndhiyaa.N, aa.Ndhiyaa.N
bujh gayaa ghar kaa chiraaG
dhul nahii.n sakataa kabhii jo pa.D gayaa aa.Nchal me.n daaG -2
the jahaa.N aramaan
the jahaa.N aramaan us dil ko milii barabaadiyaa.N, barabaadiyaa.N

hai kahii.n par shaadamaanii aur kahii.n naashaadiyaa.N -2

% Part III

zi.ndagii ke sabz daaman me.n -2
kabhii phuulo.n ke baaG
zi.ndagii ke sabz daaman me.n

zi.ndagii me.n surK daaman me.n kabhii kaa.NTo.n ke daaG -2
kabhii phuulo.n ke baaG kabhii kaa.NTo.n ke daaG
phuul-kaa.NTo.n se bharii hai.n zi.ndagii kii waadiyaa.N