Browse songs by

dil ko lagaa ke bhuul se dil kaa nishaa.N miTaa diyaa

Back to: main index
View: Plain Text, हिंदी Unicode, image

giitaa: dil ko lagaa ke bhuul se dil kaa nishaa.N miTaa diyaa
talat: hamane bharii bahaar me.n apanaa chaman jalaa diyaa

giitaa: duniyaa kii har jafaa sahii kuchh bhii magar na kah sake
giitaa: hamane vafaa ke naam par jo kuchh bhii thaa luTaa diyaa
talat: aa .a .a

talat: shikavaa kisii se kyaa kare.n marzii hai ye nasiib kii
talat: chaahaa jise miTaa diyaa chaahaa jise banaa diyaa
talat: dil kaa nishaa.N miTaa diyaa
giitaa: aa .a .a

giitaa: le ke palak pe chaa.Nd ko ko_ii kare to kyaa kare
giitaa: apanaa bhii ek chaa.Nd thaa duniyaa ne jo chhupaa diyaa
talat: aa .a .a

talat: kis ko Kabar thii pyaar me.n jal jal ke Kaak ho.nge ham
talat: Kaak kaa kyaa jahaa.N milii jis ko milii u.Daa diyaa
giitaa: aa .a .a

Comments/Credits:

			 % Transliterator: Nimish Pachapurkar 
% Date: 12 Feb 2003
% Series: GEETanjali
% generated using giitaayan
		     
View: Plain Text, हिंदी Unicode, image