Browse songs by

bevafaa yuu.N teraa muskuraanaa

  • Movie:
  • Singer(s):
  • Music Director:
  • Lyricist:
  • Actors/Actresses: Mitali
  • Year/Decade: unknown
Back to: main index
View: Plain Text, हिंदी Unicode, image

bevafaa yuu.N teraa muskuraanaa
yaad aane ke qaabil nahii.n hai
is tarah zulm uThaa_e.n hai.n tuune
sar uThaane ke qaabil nahii.n hai

mai.n ne khat likh ke unako bulaayaa
aake qaasid ne dukha.Daa sunaayaa
unake pairo.n me.n meha.ndii lagii hai
aane jaane ke qaabil nahii.n hai

mai.n ne ##phone## karake unako bulaayaa
unakii ##mummy## ne aakar uThaayaa
unake haatho.n me.n meha.ndii lagii hai
##phone## uThaane ke qaabil nahii.n hai

mai.n ne puuchhaa ke kal shab kahaa.N the
pahale sharamaaye phir ha.Ns ke bole
aap vo baat kyo.n puuchhate ho
jo bataane ke qaabil nahii.n hai

Comments/Credits:

			 % Transliterator: K Vijay Kumar
% Credits: 
% Editor:
		     
View: Plain Text, हिंदी Unicode, image