Browse songs by

beraham aasamaa.N merii ma.nzil bataa hai kahaa.N

Back to: main index
View: Plain Text, हिंदी Unicode, image

beraham aasamaa.N merii ma.nzil bataa hai kahaa.N

jo na sochaa thaa wo ho gayaa
kyo.n nasiibaa meraa so gayaa
Gam kii aisii ghaTaa chhaa gayii
chain dil kaa kahii.n kho gayaa
ye bataa kis liye
le rahaa hai meraa imtihaa.N
beraham aasamaa.N ...

bujh gayaa hai ye dil is tarah
chaa.Nd pichhale pahar jis tarah
itanii taariikiyo.n me.n bataa
raah Dhuu.nDhe koii kis tarah
kho gayii.n manzile.n
ho gayaa gum kahii.n kaaravaa.N
beraham aasamaa.N ...

jaa rahe.n hai.n na jaane kidhar
dekh sakatii nahii.n kuchh nazar
chho.D dii naav ma.njhadhaar me.n
kis kinaare lage kyaa Kabar
kyaa kare.n duur tak
roshanii kaa nahii.n hai nishaa.N
beraham aasamaa.N ...

mujhase qisamat ne dhokhaa kiyaa
har qadam pe nayaa Gam diyaa
hai Kushii kii qasam ki yahaa.N
chain kaa saa.Ns tak na liyaa
bujh gayaa dil meraa
raas aayaa na teraa jahaa.N
beraham aasamaa.N ...

terii duniyaa.N me.n yuu.N ham jiye
aa.Nsu_o.n ke samundar piye
dil me.n shiqave ta.Dapate rahe
ho.nTh lekin hameshaa siye
kab talaq ham rahe.n
terii duniyaa me.n yuu.N bezubaa.N
beraham aasamaa.N ...

ab koii bhii tamannaa nahii.n
ab yahaa.N ham ko jiinaa nahii.n
zi.ndagii ab tere jaam se
ek qataraa bhii piinaa nahii.n
maut ko bhej ke
Katm kar de merii dastaa.N
beraham aasamaa.N ...

Comments/Credits:

			 % Transliterator: Vijay Kumar & Deepak Sabnis
% Date: 15 Mar 2005
% Comments: Deepak added first 3 stanzas to Vijay's last 3
% Credits: Satish Kalra
% generated using www.giitaayan.com
		     
View: Plain Text, हिंदी Unicode, image