Browse songs by

baa.Nsuriyaa kaahe bajaa_ii

Back to: main index
View: Plain Text, हिंदी Unicode, image

lataa:
baa.Nsuriyaa kaahe bajaa_ii bin sune rahaa nahii.n jaaye re

sudhaa:
miiThii nazar kaahe milaa_ii bin dekhe rahaa nahii.n jaaye re

lataa:
baa.Nsuriyaa kaahe bajaa_ii bin sune rahaa nahii.n jaaye re

lataa:
jaane an_jaane jab mukh pe kisii ke aaye teraa naam, teraa naam
jaane an_jaane
sar se sarak jaaye chunarii sahelii kare badanaam, badanaam
hove re hamarii jagat ha.Nsaa_ii re kaanhaa
baa.Nsuriyaa kaahe bajaa_ii bin sune rahaa nahii.n jaaye re

sudhaa:
miiThii nazar kaahe milaa_ii bin dekhe rahaa nahii.n jaaye re

sudhaa:
ha.Ns ha.Ns jaaduu kar jaave.n do nain tere, nain tere
ye do nain tere
tum jit jaavo ut jaave.n do nain mere, nain mere
ye do nain mere
ho ga_ii hamarii ni.ndiyaa paraa_ii ho raadhaa
miiThii nazar kaahe milaa_ii bin dekhe rahaa nahii.n jaaye re

lataa:
baa.Nsuriya kaahe bajaa_ii bin sune rahaa nahii.n jaaye re

lataa:
chho.Do chho.Do hamarii bain bihaarii hame.n chhe.Do naa, chhe.Do naa

sudhaa:
batiyaa.N banaake
batiyaa.N banaake hame.n apanaa banaake mukh phero naa, phero naa
prem Dagariyaa ba.Dii dukhadaa_ii re ...

lataa:
kaanhaa baa.Nsuriyaa kaahe bajaa_ii bin sune rahaa nahii.n jaaye re

sudhaa:
miiThii nazar kaahe milaa_ii bin dekhe rahaa nahii.n jaaye re

lataa:
bin sune rahaa nahii.n jaaye re

sudhaa:
o bin dekhe rahaa nahii.n jaaye re

Comments/Credits:

			 % Date: July 2, 1999
% Comments: LATAnjali series
		     
View: Plain Text, हिंदी Unicode, image