Browse songs by

akelaa chal re, ho, fakiiraa chal re

Back to: main index
View: Plain Text, हिंदी Unicode, image

ho, akelaa chal re, ho, fakiiraa chal re
o sunake terii pukaar, sa.ng chalane ko tere koii ho na ho taiyaar
himmat na haar, chal chalaa chal akelaa chal chalaa chal ...
fakiira chal chalaa chal

bachapan me.n huaa ghar se beghar
aaj talak naa bas paayaa
ghar me.n lagii jo aag vo bujh ga_ii, jalatii rahii terii kaayaa
biitii baate.n bisaar, aisaa koii nahii.n jo na ho
Gam se bezaar, himmat na haar ...

% Mahendra Kapoor
jisane liyaa sa.nkalp sabhii ke
dukh aur dard miTaane kaa
usape ha.nsaa jag usane kabhii naa, paayaa saath zamaane kaa
le le auro.n kaa bhaar, koI jinakaa nahii.n hai unakaa
jiivan sa.nvaar, himmat na haar ...

suuraj cha.ndaa taare juganuu
sabakii apanii hastii hai
jisame.n jitanaa niir ho badalii, utanii der barasatii hai
terii shak_tii apaar, tuu to laayaa re akelaa ga.ngaa
dharatii pe utaar, himmat na haar ...

% Hemlata
vo kyaa samajhe dard kisii kaa
jisane dukh naa jhelaa ho
do ab aur do haath ho jisake, vo kaahe ko akelaa ho
aae sa.nkaT hazaar, terii Kaatir koii na khole
kabhii na apanaa dvaar, himmat na haar ...

Comments/Credits:

			 % Credits: C. S. Sudarshana Bhat (cesaa129@utacnvx.uta.edu)
%          Venkatasubramanian K Gopalakrishnan (gopala@cs.wisc.edu)
%          Preetham Gopalaswamy (preetham@src.umd.edu)
% Editor: Anurag Shankar (anurag@astro.indiana.edu)
		     
View: Plain Text, हिंदी Unicode, image