aaye hai.n duur se, milane hazuur se
- Movie: Tumsa Nahin Dekha
- Singer(s): Mohammad Rafi, Asha Bhonsle
- Music Director: O P Nayyar
- Lyricist: Majrooh Sultanpuri
- Actors/Actresses: Shammi Kapoor, Ameeta
- Year/Decade: 1957, 1950s
View: Plain Text, हिंदी Unicode,
aashaa: aae hai.n duur se, milane hazuur se
aise bhii chup na rahiye, kahiye jii kuchh to kahiye
din hai ke raat hai
rafii: haay ...
tumase mehamaan kyaa, mujhape ahasaan kyaa
laakho.n hii zulfo.n vaale, aatii hai.n gheraa Daale
merii kyaa baat hai
aashaa: aaye hai.n duur se ...
uTh ke to dekhiye, kaisii fizaa hai
sharamaanaa chho.Diye, ye kyaa adaa hai
rafii: taubaa ye kyaa faramaayaa
mai.n to yuu.N hii sharamaayaa
merii kyaa baat hai
aashaa: aaye hai.n duur se ...
rafii: o o o ...
tumase mehamaan kaa ...
dikhatii hai roz hii, aisii fizaae.n
mukha.De ke saamane, kaalii ghaTaae.n
aashaa: koI chal jaae jaaduu, phir ham puuchhe.nge baabuu
din hai ke raat hai ...
rafii: o o o ...
tumase mehamaan kaa ...
aashaa: aa aa aa ...
aaye hai.n duur se ...
Comments/Credits:
% Credits: Satish Subramanian (subraman@myria.cs.umn.edu) % C. S. Sudarshana Bhat (cesaa129@utacnvx.uta.edu) % Venkatasubramanian K Gopalakrishnan (gopala@cs.wisc.edu) % Preetham Gopalaswamy (preetham@src.umd.edu) % Editor: Anurag Shankar (anurag@astro.indiana.edu)