aag hai lagii hu_ii har taraf yahaa.N wahaa.N
- Movie: Swarg Narak
- Singer(s): Mohammad Rafi, Chorus
- Music Director: Rajesh Roshan
- Lyricist: Anand Bakshi
- Actors/Actresses: Vinod Mehra, Tanuja, Sanjeev Kumar, Jeetendra, Shabana Azmi, Moushumi Chatterjee
- Year/Decade: 1978, 1970s
View: Plain Text, हिंदी Unicode,
aag hai lagii hu_ii
( aag hai lagii hu_ii har taraf yahaa.N wahaa.N
jal rahii hai ye zamii.n jal rahaa hai aasamaa.N ) -2
aag hai lagii hu_ii
dil kyaa hai
kaa.Nch kaa khilaunaa hai
sapn ek salonaa hai
( dil ba.Daa naazuk hai ye TuuT naa jaaye kahii.n
khelate hai.n dil se jo ye Kabar unako nahii.n ) -2
dil gayaa to kyaa rahaa dil ke saath hai jahaa.N
jal rahii hai ye zamii.n jal rahaa hai aasamaa.N
aag hai lagii hu_ii
chiiz kyaa hai pyaar ye
ik dawaa hai yaar ye
ye dawaa kabhii kabhi Gam kaa jaam ban ga_ii
zi.ndagii kii har subah ek shaam ban ga_ii
roshanii chalii ga_ii
roshanii chalii ga_ii rah gayaa dhu_aa.N dhu_aa.N
jal rahii hai ye zamii.n jal rahaa hai aasamaa.N
Dor TuuT jaatii hai
jo.De gaa.NTh aatii hai
( shaadii aur byaah hai rishtaa aitabaar kaa
saat janam ke waaste ek waadaa pyaar kaa ) -2
ek pal me.n ho gaye
ek pal me.n ho gaye phir bhii log badagumaa.N
jal rahii hai ye zamii.n jal rahaa hai aasamaa.N
( aag hai lagii hu_ii har taraf yahaa.N wahaa.N
jal rahii hai ye zamii.n jal rahaa hai aasamaa.N ) -2